اردو हिंदी
Kyunkar shikar-e-husn na khelen yahan ke log | Shaahi Shayari
kyunkar shikar-e-husn na khelen yahan ke log

Ghazal

Kyunkar shikar-e-husn na khelen yahan ke log

Muneer Shikohabadi

;

kyunkar shikar-e-husn na khelen yahan ke log
pariyon ko phans lete hain hindostan ke log

aapas mein ek dusre se aashna nahin
zer-e-zamin bhare hain ilahi kahan ke log

bagh-e-jahan se jate nahin jaanib-e-bahisht
nahaq tamanche khate hain baad-e-KHizan ke log

shahr-e-wafa ka sajda-e-shukrana hai yahi
patthar se sar paTakte hain shahr-e-butan ke log

zunnar se hai kam rag-e-jaan jis ke samne
bande hue hain us but-e-na-mehrban ke log

apni KHabar le auron se kya kaam ai 'munir'
kis ka zamana kaun si basti kahan ke log