kyun zist ka har ek fasana badal gaya
ye hum badal gae ki zamana badal gaya
sayyaad yan wahi wahi tair wahi hain dam
lekin jo zer-e-dam tha dana badal gaya
bazi-e-husn-o-ishq mein kuchh haar hai na jit
nazren milin dilon ka KHazana badal gaya
baKHt-e-bashar wahi hai bisat-e-jahan wahi
har daur-e-nau mein mat ka KHana badal gaya
taqat ke dosh par hai azal se bashar ki lash
bas thoDi thoDi dur pe shana badal gaya
mahfil ke hasb-e-zauq hai mutrib ka saz bhi
mahfil badal gai to tarana badal gaya
in dagh-ha-e-dil mein koi zaKHm-e-nau nahin
shayad kisi nazar ka nishana badal gaya
'mulla' ko zor-e-taba hua faislon ki nazr
dariya abhi wahi hai dahana badal gaya
Ghazal
Kyun zist ka har ek fasana badal gaya
Anand Narayan Mulla