اردو हिंदी
Kyun KHayal-e-ranj-o-rahat se na hon begana hum | Shaahi Shayari
kyun KHayal-e-ranj-o-rahat se na hon begana hum

Ghazal

Kyun KHayal-e-ranj-o-rahat se na hon begana hum

Natiq Gulavthi

;

kyun KHayal-e-ranj-o-rahat se na hon begana hum
jalwa-gah-e-yar hai dil yani KHalwat-KHana hum

hain kabhi waiz kabhi hain murshid-e-mai-KHana hum
ghumte jate hain hasb-e-gardish-e-paimana hum

lakh par bhaari hain teri dast-giri chahiye
kyun kisi pe bar hon ai himmat-e-mardana hum

khaiye ye zahr kab tak khae jati hai ye zist
ai ajal kab tak rahenge rahn-e-ab-o-dana hum

tu hamein kahta hai diwana to diwane sahi
pand-go aaKHir tujhe ab kya kahen diwana hum

muddai dil ishq aain-o-adalat bazm-e-naz
did-bazi jurm mujrim aankh hai jurmana hum

aab-e-ashk-o-atish-e-shauq-o-hawa-e-ah se
hain wajud-arai-e-KHakistar-e-parwana hum

gum hai nam-e-amiri KHub ai nigah-e-samri
tere afsun se bane hain zinat-e-afsana hum

wajh-e-ruswai hai 'natiq' masti-e-bazm-e-suKHan
baada-paima hain ba-jam-e-ghaalib-e-mastana hum