kyun KHafa hum se ho KHata kya hai
ye to farmaiye hua kya hai
husn kya husn ki ada kya hai
us ke jalwon ka dekhna kya hai
ek aalam hai sirf mai-noshi
nigah-e-mast majra kya hai
nichi nazron se kar diya ghayal
ab ye samjhe ki ye haya kya hai
jaan dena hai ain maqsad-e-ishq
un ko andaza-e-wafa kya hai
hum se barham raqib se shadan
kahiye kahiye ye majra kya hai
jin ki hasti hai ek sharar ki misal
aise taron ka Dubna kya hai
aariz-e-yar ke muqabil ho
mahr-e-taban ka hausla kya hai
KHun aashiq hai ya hina ka rang
mere qatil ye zer-e-pa kya hai
KHud hi gum ho ke rah gae 'anwar'
hasil-e-justuju hua kya hai
Ghazal
Kyun KHafa humse ho KHata kya hai
Anwar Saharanpuri