kyun ho na gir ke kasa-e-tadbir pash pash
hai sang-e-gham se shisha-e-taqdir pash pash
hai KHun-e-be-gunah se jigar resh-e-tegh bhi
jauhar nahin ye hai tan-e-shamshir pash pash
tir-e-nigah ne dil mera ghirbaal kar diya
zaKHmon se ho gaya tan-e-naKHchir pash pash
tegh-e-zaban-e-yar se majruh hai jigar
hota hai dil mera dam-e-taqrir pash pash
ai tegh-e-kalik likh wo mazamin-e-taniya
dil hasidon ke hon dam-e-tahrir pash pash
'zeba' ghazal to tum ne kahi is zamin mein KHub
sabit har ek jagah hai ba-tadbir pash pash
Ghazal
Kyun ho na gir ke kasa-e-tadbir pash pash
Zeba