اردو हिंदी
Kyun ho bahana-ju na qaza sar se panw tak | Shaahi Shayari
kyun ho bahana-ju na qaza sar se panw tak

Ghazal

Kyun ho bahana-ju na qaza sar se panw tak

Shad Azimabadi

;

kyun ho bahana-ju na qaza sar se panw tak
zalim hain aap ki hai ada sar se panw tak

sakit hain baad-e-marg qawa sar se panw tak
mohren laga gai hai qaza sar se panw tak

ghere thi tujh ko barq-e-ada sar se panw tak
kyun naKHl-e-tur jal na gaya sar se panw tak

zanjir ban gai hai qaza sar se panw tak
goya ragen hain dam-e-bala sar se panw tak

main KHud zaban-e-shukr bana sar se panw tak
Dube na kyun asar mein dua sar se panw tak

munh chand us pe zulf-e-rasa sar se panw tak
kyun loT-poT ho na ada sar se panw tak

sidq o safa sikhata hai nazzara-baz ko
aaina-e-jamal tera sar se panw tak

qasid kahe gaya meri zardi-e-ruKH ka haal
is dastan ko KHub ranga sar se panw tak

ai shama tujh se saf main kahta hun dil ka haal
jalna hi tha to jal na gaya sar se panw tak

piri mein kanpne lage aaza-e-jism sab
hushyar hil gai ye bina sar se panw tak

shayad KHizan saba ka fasana suna gai
har naKHl-e-bagh kanp gaya sar se panw tak

dariya-e-ishq mein mujhe rakhna na tha qadam
Duba to KHub Dub gaya sar se panw tak

li naKHl-e-tur ki na KHabar tum ne ai kalim
tum dekhte rahe wo jala sar se panw tak

aaghaz hi mein aap ne kar di zaban band
qissa hamara sun na liya sar se panw tak

phailaen ya na hath ko phailaen sharm se
dast-e-talab hain tere gada sar se panw tak

tera kahan jamal kahan jalwa-gah-e-tur
musa na phir na dekh liya sar se panw tak

allah 'shad' ghair ki ye aib-juiyan
tu KHud pe kar nigah zara sar se panw tak