kyun har uruj ko yahan aaKHir zawal hai
sochen agar to sirf yahi ek sawal hai
baala-e-sar falak hai to zer-e-qadam hai KHak
us be-niyaz ko mera kitna KHayal hai
lamha yahi jo is ghaDi aalam pe hai muhit
hone ki is jahan mein tanha misal hai
aaKHir hui shikast to apni zamin par
apne badan se mera nikalna muhaal hai
suraj hai raushni ki kiran is jagah 'malal'
wusat mein kaenat andhere ka jal hai

Ghazal
Kyun har uruj ko yahan aaKHir zawal hai
Sagheer Malal