kyun aasman-e-hijr ke tare chale gae
ab kya hua jo KHwab tumhaare chale gae
saqi ke dar pe aaj baghawat ke shor mein
hum jam jam jam pukare chale gae
ruTha hua hai chand bahut aaftab se
aur chandni ko DhunDne tare chale gae
is dast-e-iKHtiyar mein ek jaan hi to thi
hum tum pe apni jaan ko ware chale gae
be-mehr zindagi ka guzara na ho saka
hum bar bar ishq mein haare chale gae

Ghazal
Kyun aasman-e-hijr ke tare chale gae
Faisal Fehmi