kya zamin kya aasman kuchh bhi nahin
hum na hon to ye jahan kuchh bhi nahin
dida-o-dil ki rifaqat ke baghair
fasl-e-gul ho ya KHizan kuchh bhi nahin
pattharon mein hum bhi patthar ho gae
ab gham-e-sud-o-ziyan kuchh bhi nahin
kya qayamat hai ki apne des mein
e'tibar-e-jism-o-jaan kuchh bhi nahin
kaise kaise sar-kashida log the
jin ka ab nam-o-nishan kuchh bhi nahin
ek ehsas-e-mohabbat ke siwa
hasil-e-umr-e-rawan kuchh bhi nahin
koi mauzu-e-suKHan hi jab na ho
sirf andaz-e-bayan kuchh bhi nahin
Ghazal
Kya zamin kya aasman kuchh bhi nahin
Aafaque Siddiqui