kya ye aafat nahin azab nahin
dil ki haalat bahut KHarab nahin
bud pal pal ki be-hisabi hai
ki muhasib nahin hisab nahin
KHub gaw bajao aur piyo
in dinon shahr mein janab nahin
sab bhaTakte hain apni galiyon mein
ta-ba-KHud koi baryab nahin
tu hi mera sawal azal se hai
aur sajan tera jawab nahin
hifz hai shams-e-bazgha mujh ko
par mayassar wo mahtab nahin
tujh ko dil-dard ka nahin ehsas
so meri pinDliyon ko dab nahin
nahin juDta KHayal ko bhi KHayal
KHwab mein bhi to koi KHwab nahin
satar-e-mu us ki zer-e-naf ki hae
jis ki chaqu-zanon ko tab nahin
Ghazal
Kya ye aafat nahin azab nahin
Jaun Eliya