اردو हिंदी
Kya wasl ki saat ko tarasne ke liye tha | Shaahi Shayari
kya wasl ki saat ko tarasne ke liye tha

Ghazal

Kya wasl ki saat ko tarasne ke liye tha

Muzaffar Hanfi

;

kya wasl ki saat ko tarasne ke liye tha
dil shahr-e-tamanna tere basne ke liye tha

sahra mein bagulon ki tarah nach raha hun
fitrat se main baadal tha barasne ke liye tha

roti hui ek bhiD mere gird khaDi thi
shayad ye tamasha mere hansne ke liye tha

kuchh raat ka ehsan hai na suraj ka karam hai
ghuncha to bahar-haal bikasne ke liye tha

is rah se guzra hun jahan sans na de sath
har naqsh-e-kaf-e-pa mere Dasne ke liye tha

har qatra meri aankh se bahne ko tha betab
har zarra mere panw jhulasne ke liye tha