اردو हिंदी
Kya satate ho raho banda-nawaz | Shaahi Shayari
kya satate ho raho banda-nawaz

Ghazal

Kya satate ho raho banda-nawaz

Shaikh Zahuruddin Hatim

;

kya satate ho raho banda-nawaz
ki nahin KHub ye KHu banda-nawaz

be-sabab be-wajh o be-taqsir
is qadar ghussa na ho banda-nawaz

zulm nahaq na karo koi din
jiyo aur jiwne do banda-nawaz

mai-kasho bich na baiTho hargiz
KHun mera na piyo banda-nawaz

itr ko mal ke na aao hum pas
zabh karti hai ye bu banda-nawaz

kab talak apni kahe jaoge
baat meri bhi suno banda-nawaz

wajib-ul-qatl tumhaara main hun
aur ka nam na lo banda-nawaz

go ki sab mujh ko bura kahte hain
tum zaban sin na kaho banda-nawaz

kis ka munh hai jo tere sanmukh ho
ho na ho aaina ho banda-nawaz

ja teri chashm mein meri hai ja
sarw ho hai lab-e-ju banda-nawaz

wasf-e-kakul mein sada goya hai
jo zaban har sar-e-mu banda-nawaz

dil se 'hatim' ba-KHuda banda hai
dur KHidmat se hai go banda-nawaz