kya nazar aaega nazir mere
zaKHm ghaeb hain ba-zahir mere
phir mujhe dost mile patthar ke
aaine TuT gae phir mere
in mein kis ko nazar-andaz karun
samne hain jo manazir mere
dushmanon se mujhe pahchan mili
kaam aae wahi aaKHir mere
ishq ki rah mein KHatre hain bahut
soch lena ye musafir mere
dard sine mein jo poshida the
ashk wo kar gae zahir mere
likhne baiTha hai kahani meri
thak na jae tu muharrir mere
Ghazal
Kya nazar aaega nazir mere
Pawan Kumar