kya nam-e-KHuda apni bhi ruswai hai kam-baKHt
ruswai-e-majnun bhi tamashai hai kam-baKHt
laDne ko laDe us se par ab karte hain afsos
afsos ajab apni bhi danai hai kam-baKHt
ek baat bhi mil kar na karen us se hum ai charKH
kya tujh ko yahi baat pasand aai hai kam-baKHt
hamdam to yahi kahte hain chal bazm mein us ki
kya kahiye use apni jo KHud-rai hai kam-baKHt
wo to nahin waqif pa hamin dil mein KHajil hain
kis munh se kahen hum ne qasam khai hai kam-baKHt
yaro hamein taklif na do sair-e-chaman ki
aane do bala se jo bahaar aai hai kam-baKHt
rahne do hamein kunj-e-qafas mein ki hamare
qismat mein yahi gosha-e-tanhai hai kam-baKHt
is jam-e-nigun se mai-e-rahat na talab kar
yan baada nahin baadiya-paimai hai kam-baKHt
toDe hain bahut shisha-e-dil jis ne 'nazir' aah
phir charKH wahi gumbad-e-minai hai kam-baKHt
Ghazal
Kya nam-e-KHuda apni bhi ruswai hai kam-baKHt
Nazeer Akbarabadi