kya kya sawal meri nazar puchhti rahi
lekin wo aankh thi ki barabar jhuki rahi
mele mein ye nigah tujhe DhunDti rahi
har mah-jabin se tera pata puchhti rahi
jate hain na-murad tere aastan se hum
ai dost phir milenge agar zindagi rahi
aankhon mein tere husn ke jalwe base rahe
dil mein tere KHayal ki basti basi rahi
ek hashr tha ki dil mein musalsal bapa raha
ek aag thi ki dil mein barabar lagi rahi
main tha kisi ki yaad thi jam-e-sharab tha
ye wo nashist thi jo sahar tak jami rahi
sham-e-wida-e-dost ka aalam na puchhiye
dil ro raha tha lab pe hansi khelti rahi
khul kar mila na jam hi us ne koi liya
'rahbar' mere KHulus mein shayad kami rahi
Ghazal
Kya kya sawal meri nazar puchhti rahi
Rajendra Nath Rahbar