اردو हिंदी
Kya kya nahin kiya magar un par asar nahin | Shaahi Shayari
kya kya nahin kiya magar un par asar nahin

Ghazal

Kya kya nahin kiya magar un par asar nahin

Baqar Mehdi

;

kya kya nahin kiya magar un par asar nahin
shayad ki apni sai-e-junun kar-gar nahin

ghabra ke chahte hain ki gardish mein hum rahen
manzil kahin na ho koi aisa safar nahin

mil jae ek raat mohabbat ki zindagi
phir KHwahish-e-hayat hamein umr-bhar nahin

aawargi mein lutf o aziyyat ke bawajud
aisa nahin hua hai ki fikr-e-sahar nahin