اردو हिंदी
Kya kya na tere sadme se baad-e-KHizan gira | Shaahi Shayari
kya kya na tere sadme se baad-e-KHizan gira

Ghazal

Kya kya na tere sadme se baad-e-KHizan gira

Sheikh Bimar Ali Bakhsh

;

kya kya na tere sadme se baad-e-KHizan gira
gul barg sarw faKHta ka aashiyan gira

likhne lagi qaza jo hamari fatadgi
sau bar hath se qalam-e-do-zaban gira

jab pahunche hum kinara-e-maqsud ke qarib
tab naKHuda jahan se uTha baadban gira

mubaf-e-surKH choTi se kya un ki khul paDa
ek saiqa sa dil pe mere na-gahan gira

ta aasman pahunch ke hui aah sar-nigun
ya rab ho KHair fauj-e-alam ka nishan gira

uTh kar chala jo pas se un ke to ghar talak
har har qadam pe zof se main na-tawan gira

dekha jo dasht-e-najd mein haal-e-tabah-e-qais
mahmil se laila kud paDi sar-ban gira

dozaKH pe kyun na ho dil-e-'bimar' tana-zan
aatish se ishq ki hai patinga yahan gira