kya KHabar thi inqalab aasman ho jaega
qorma qaliya nasib-e-ahmaqan ho jaega
zulmat-e-baatil ke daman mein chhupega nur-e-haq
dal ki aaghosh mein qima nihan ho jaega
cake biscuit khaenge ullu-ke-paTThe raat din
aur sharifon ke liye aaTa giran ho jaega
control us ke lab-e-shirin pe gar yun hi raha
khanD ka sharbat nasib-e-dushmanan ho jaega
ai bhune titar na Dar bawarchiyon ki qaid se
peT mera teri KHatir aashiyan ho jaega
ai sikandar murgh ka hai shorba aab-e-hayat
KHizr bhi is ko agar pi le jawan ho jaega
jab ye kahta hun ki kuchh saman-e-dawat kijiye
wo ye kah kar Tal dete hain ki han ho jaega
Ghazal
Kya KHabar thi inqalab aasman ho jaega
Hussain meer Kashmiri