kya karega ja ke baitullah tu
dil hi se kar apni paida rah tu
Dub ja bahr-e-amiq-e-ishq mein
yun na hargiz le sakega thah tu
ghar se niklega wo apni raat ko
mat nikaliye dekhiyo ai mah tu
kaba Dah jawe to ban sakta hai phir
dekhiye dil hai ise mat Dhah tu
haal-e-dil thoDa sa sun kar bol uTha
bas ab is qisse ko kar kotah tu
yar ke dil tak asar ke sath ja
aasman tak ja na ja ai mah tu
wajibuttazir hai 'rasiKH' pa haif
qadr se us ki nahin aagah tu
Ghazal
Kya karega ja ke baitullah tu
Rasikh Azimabadi