kya kahun ghuncha-e-gul nim-dahan hai kuchh aur
la-kalami hai wahan baat yahan hai kuchh aur
bujh gai aatish-e-gul dekh tu ai dida-e-tar
kya sulagta hai jo pahlu mein dhuan hai kuchh aur
pani us mein se bharen is mein giren yusuf-e-dil
chashma-e-chah-e-zaqan aur kuan hai kuchh aur
jite-ji maut ka Dar baad-e-fana KHauf-e-azab
juz gham-o-ranj yahan hai na wahan hai kuchh aur
husn-e-surat pe na ja dekh wahin mani ko
ek hain kaba-o-but-KHana kahan hai kuchh aur
tum samajhte ho meri be-zehni mein hai kalam
lab-e-goya ki qasam zikr yahan hai kuchh aur
baada-kash wo hun karun shishe ke shishe KHali
par lagaun yahi raT nashshe mein han hai kuchh aur
qismat-e-'shad' mein juz gham jo yahan kuchh bhi nahin
ai hawas le chal udhar ko ki jahan hai kuchh aur
Ghazal
Kya kahun ghuncha-e-gul nim-dahan hai kuchh aur
Shad Lakhnavi