kya jama-e-phul-kari us gul ki phaban ka tha
jo taKHta-e-daman tha taKHta wo chaman ka tha
hum aago hi samjhe the tum ghar ko sudhaaroge
jun subh gajar baja matha wahin Thanka tha
mina mein na ho jalwa wo baada-e-gul-gun ka
jame mein jo kuchh yaro rang us ke badan ka tha
nargis ko kiya aisa bimar un aankhon ne
Dhalka hi nazar aaya gardan ka jo manka tha
Ghazal
Kya jama-e-phul-kari us gul ki phaban ka tha
Mohammad Amaan Nisar