اردو हिंदी
Kya hi tapta hai sulagta hai dhuan deta hai | Shaahi Shayari
kya hi tapta hai sulagta hai dhuan deta hai

Ghazal

Kya hi tapta hai sulagta hai dhuan deta hai

Raheel Farooq

;

kya hi tapta hai sulagta hai dhuan deta hai
hijr ki sham to dil bandh saman deta hai

kaun kambaKHt na chahega nikalna lekin
itni mohlat hi tera dam kahan deta hai

qaul to ek bhi pura na hua ab dekhun
kya dalil us ki mera shoala-bayan deta hai

tab-e-nazuk pe guzarta hai garan to guzre
zeb wahshi ko yahi tarz-e-fughan deta hai

KHas bandon ko pukarega idhar to rizwan
dawat-e-am idhar shahr-e-butan deta hai

ek muddat se badan barf hai lekin ab tak
karwaTen dil ko koi soz nihan deta hai

naznin paDhte hain 'rahil' ki ghazlen kya KHub
dad har sher ki har pir-o-jawan deta hai