kya hi rah rah ke tabiat meri ghabraati hai
maut aati hai shab-e-hijr na nind aati hai
wo bhi chup baiThe hain aghyar bhi chup main bhi KHamosh
aisi sohbat se tabiat meri ghabraati hai
kyun na ho apni lagawaT ki nazar par nazan
jaante ho ki dilon ko ye laga lati hai
bazm-e-ishrat kahin hoti hai to ro deta hun
koi guzri hui sohbat mujhe yaad aati hai
Ghazal
Kya hi rah rah ke tabiat meri ghabraati hai
Akbar Allahabadi