kya ghazab hai ki mulaqat ka imkan bhi nahin
aur ab us ko bhulana koi aasan bhi nahin
kise dekhun kise aankhon se lagaun ai dil
ru-e-taban bhi nahin zulf-e-pareshan bhi nahin
aur hain aaj Thikane tere diwanon ke
koh-o-sahra bhi nahin dasht-o-bayaban bhi nahin
jaane kya baat hai sab ahl-e-junun hain KHamosh
aaj wo silsila-e-chaak-e-gareban bhi nahin
gham-e-pinhan nazar aata hai mujhe dushman-e-jaan
hae ye dard ki jis ka koi darman bhi nahin
kaun jaane mera anjam sahar tak kya ho
aaj koi dil-e-bimar ka pursan bhi nahin
hae ye ghar ki ab is mein nahin basta koi
haif ye dil ki ab is mein koi arman bhi nahin
uf ye tanhai ye wahshat ye sukut-e-shab-e-tar
aur shabistan mein koi sham-e-farozan bhi nahin
sath us gul ke gaya dil se gulistan ka KHayal
ab mujhe aarzu-e-fasl-e-bahaaran bhi nahin
Ghazal
Kya ghazab hai ki mulaqat ka imkan bhi nahin
Ram Krishn Muztar