kya chhupate kisi se haal apna
ji hi jab ho gaya niDhaal apna
hum hain us ke KHayal ki taswir
jis ki taswir hai KHayal apna
wo bhi ab gham ko gham samajhte hain
dur pahuncha magar malal apna
tu ne rakh li gunahgar ki sharm
kaam aaya na infial apna
dekh dil ki zamin larazti hai
yaad-e-jaanan qadam sambhaal apna
ba-KHabar hain wo sab ki haalat se
lao hum puchh len na haal apna
maut bhi to na mil saki 'fani'
kis se pura hua sawal apna
Ghazal
Kya chhupate kisi se haal apna
Fani Badayuni