kya bhala mujh ko parakhne ka natija nikla
zaKHm-e-dil aap ki nazron se bhi gahra nikla
tishnagi jam gai patthar ki tarah honTon par
Dub kar bhi tere dariya se main pyasa nikla
jab kabhi tujh ko pukara meri tanhai ne
bu uDi phul se taswir se saya nikla
koi milta hai to ab apna pata puchhta hun
main teri khoj mein tujh se bhi pare ja nikla
mujh se chhupta hi raha tu mujhe aankhen de kar
main hi parda tha uTha main to tamasha nikla
toD kar dekh liya aaina-e-dil tu ne
teri surat ke siwa aur bata kya nikla
nazar aaya tha sar-e-baam 'muzaffar' koi
pahuncha diwar ke nazdik to saya nikla
Ghazal
Kya bhala mujhko parakhne ka natija nikla
Muzaffar Warsi