kya barabar ka mohabbat mein asar hota hai 
dil idhar hota hai zalim na udhar hota hai 
hum ne kya kuchh na kiya dida-e-dil ki KHatir 
log kahte hain duaon mein asar hota hai 
dil to yun dil se milaya ki na rakkha mera 
ab nazar ke liye kya hukm-e-nazar hota hai 
main gunahgar-e-junun main ne ye mana lekin 
kuchh udhar se bhi taqaza-e-nazar hota hai 
kaun dekhe use betab-e-mohabbat ai dil 
tu wo nale hi na kar jin mein asar hota hai
 
        Ghazal
Kya barabar ka mohabbat mein asar hota hai
Jigar Moradabadi

