kya aaj un se apni mulaqat ho gai
sahra pe jaise TuT ke barsat ho gai
viran bastiyon mein mera din hua tamam
sunsan jangalon mein mujhe raat ho gai
karti hai yun bhi baat mohabbat kabhi kabhi
nazren milin na honT hile baat ho gai
zalim zamana hum ko agar de gaya shikast
bazi mohabbaton ki agar mat ho gai
hum ko nigal saken ye andheron mein dam kahan
jab chandni se apni mulaqat ho gai
bazar jaana aaj saphal ho gaya mera
barson ke baad un se mulaqat ho gai

Ghazal
Kya aaj un se apni mulaqat ho gai
Rajendra Nath Rahbar