ku-e-jaanan mein aur kya mango
haalat-e-haal yak sada mango
har-nafas tum yaqin-e-munim se
rizq apne guman ka mango
hai agar wo bahut hi dil nazdik
us se duri ka silsila mango
dar-e-matlab hai kya talab-angez
kuchh nahin wan so kuchh bhi ja mango
gosha-e-gir-e-ghubar-e-zat hun mein
mujh mein ho kar mera pata mango
munkiran-e-KHuda-e-baKHshinda
us se to aur ek KHuda mango
us shikam-raqs-gar ke sail ho
naf-pyale ki tum ata mango
lakh janjal mangne mein hain
kuchh na mango faqat dua mango
Ghazal
Ku-e-jaanan mein aur kya mango
Jaun Eliya