kuchh uzr pas-e-wada-KHilafi nahin rakhte
ho kaise masiha dam-e-shafi nahin rakhte
aise to na the zaKHm ki jo bhar hi na pate
ahbab magar zarf-e-talafi nahin rakhte
is chain se jine mein koi bhed nahin hai
bas ye ki tamannaen izafi nahin rakhte
is daur mein insaf panap hi nahin sakta
iKHlas-e-qalam jis mein sahafi nahin rakhte
hain aur bhi duniya mein suKHnawar bahut achchhe
hum jaisa magar zauq-e-qawafi nahin rakhte
ye moajiza mohtaj hai pindar-e-wafa ka
sab teshe dam-e-koh-shigafi nahin rakhte
har baat mein kam-maya nazar aate hain 'anjum'
rahat to kuja dard bhi kafi nahin rakhte
Ghazal
Kuchh uzr pas-e-wada-KHilafi nahin rakhte
Anjum Khaleeq