kuchh tumhaari anjuman mein aise diwane bhi the
jo ba-kar-e-KHwesh diwane bhi farzane bhi the
yun to har surat pe tha beganagi ka shaiba
un mein kuchh aise bhi the jo jaane-pahchane bhi the
sab ba-taufiq-e-murawwat dosti karte rahe
log kya karte ki KHud un ke sanam-KHane bhi the
tu ne apni aagahi ke zarf se jaancha mujhe
aagahi na-agahi ke aur paimane bhi the
dil ke jaane ka ba-har-surat bahut sadma hua
us se wabasta kai logon ke afsane bhi the
Ghazal
Kuchh tumhaari anjuman mein aise diwane bhi the
Gulam jilani Asghar