kuchh to Thahre hue dariya mein rawani karen hum
aao duniya ki haqiqat ko kahani karen hum
apne maujud mein milte hi nahin hain hum log
jo hai madum use apni nishani karen hum
pahle ek yar banaen koi us ke jaisa
aur phir ijad koi dushman-e-jaani karen hum
jab naya kaam hi karne ko nahin hai koi
baiThe baiThe yun hi ek chiz purani karen hum
hijr ke din to hue KHatm baDi dhum ke sath
wasl ki raat hai kyun marsiya-KHwani karen hum
Ghazal
Kuchh to Thahre hue dariya mein rawani karen hum
Salim Saleem