kuchh samajh aaya na aaya main ne socha hai use
zehn par us ko utara dil pe likkha hai use
in dinon is shahr mein ek fasl-e-KHun ka raqs hai
hum bahut be-bas hue hain, main ne likkha hai use
dhup ne hans kar kaha dekha tujhe pighla diya
barf kya kahti nafasat ne Duboya hai use
bagh mein hona hi shayad seb ki pahchan thi
ab ki wo bazar mein hai ab to bikna hai use
kal bhare baadal mein kya rangon ka darwaza khula
mujh ko kal tak tha ye dawa main ne samjha hai use
ek shai jis ko umuman sirf dil kahte hain log
mar gaya hota magar main ne bachaya hai use
karb dil ka mere lab par aaega 'manzur' kya
main ne KHun-e-dil se kaghaz par utara hai use
Ghazal
Kuchh samajh aaya na aaya maine socha hai use
Hakeem Manzoor