kuchh na idhar hai ne udhar tu hai
jis taraf kijiye nazar tu hai
iKHtilaf-e-suwar hain zahir mein
warna mani-e-yak-digar tu hai
hai jo kuchh tu so tu hi jaane hai
koi kya jaane kis qadar tu hai
kya mah-o-mahr kya gul-o-lala
jab main dekha to jalwa-gar tu hai
kis se tashbih dijiye tujh ko
sare KHuban se KHub-tar tu hai
wo to 'bedar' hai ayan lekin
us ke jalwa se be-KHabar tu hai
Ghazal
Kuchh na idhar hai ne udhar tu hai
Meer Mohammadi Bedar