kuchh mujhe ab zindagi apni nazar aati nahin
dosto muddat hui us ki KHabar aati nahin
ru-ba-ru hote hi us ke aql ho jati hai gum
kuchh ka kuchh bikne lagun hun baat kar aati nahin
us but-e-gumrah ko har-chand samjhata hun main
kya karun us ki tabiat rah par aati nahin
dil phansa hai us ke bas mein dekhiye kya ho 'nisar'
nagani jis zulf ke ohde se bar aati nahin
Ghazal
Kuchh mujhe ab zindagi apni nazar aati nahin
Mohammad Amaan Nisar