kuchh mauj-e-hawa pechan ai 'mir' nazar aai
shayad ki bahaar aai zanjir nazar aai
dilli ke na the kuche auraq-e-musawwar the
jo shakl nazar aai taswir nazar aai
maghrur bahut the hum aansu ki sarayat par
so subh ke hone ko tasir nazar aai
gul-bar kare haiga asbab-e-safar shayad
ghunche ki tarah bulbul dil-gir nazar aai
us ki to dil-azari be-hech hi thi yaro
kuchh tum ko hamari bhi taqsir nazar aai
Ghazal
Kuchh mauj-e-hawa pechan ai mir nazar aai
Mir Taqi Mir