kuchh hasin yaaden bhi hain dida-e-nam ke sath sath
zindagi mein husn bhi goya hai gham ke sath sath
dil tere hamrah jata hai ki paya jata hai
naqsh-e-dil mera tere naqsh-e-qadam ke sath sath
us ke sae ki tarah dekha nahin us se juda
hum ne to yazdan ko paya hai sanam ke sath sath
taki hun donon ki lazzat se barabar mustafid
wo karam farmate rahte hain sitam ke sath sath
'soz' un ki chah mein hum ne sada mahsus ki
ek anjaani soz-e-gham ke sath sath
Ghazal
Kuchh hasin yaaden bhi hain dida-e-nam ke sath sath
Abdul Malik Soz