kuchh hai KHabar farishton ke jalte hain par kahan
jati hai be-adab nigah-e-parda-dar kahan
ye sham-o-anjuman ye mai-o-jam ye bahaar
mehman raat bhar ke hain waqt-e-sahar kahan
nazzara-e-jamal hai go jaan-e-zindagi
warafta-e-jamal ko fursat magar kahan
dil arsh-gah-e-husn hai dil jalwa-gah-e-naz
ye aap hi ka ghar hai hamari guzar kahan
hai waqt-e-naza aur gham-e-ishq dur dur
jata hai sath chhoD ke ye ham-safar kahan
is be-KHudi-e-shauq mein 'abrar' kis ko hosh
manzil kahan hai main hun kahan rahbar kahan
Ghazal
Kuchh hai KHabar farishton ke jalte hain par kahan
Abrar Shahjahanpuri