kuchh dur sath gardish-e-sham-o-sahar gai
phir us ke baad zindagi jaane kidhar gai
apnon ki bewafai baDa kaam kar gai
is aag mein hayat tapi aur nikhar gai
bedari-e-bahaar-e-nazar hi ki der thi
phir jo bhi chiz samne aai sanwar gai
ab kosta hun puKHtagi-e-tajrabaat ko
jo mujh ko har aziz se begana kar gai
allah re junun-e-tajassus ke marhale
meri nigah tujh pe bhi ho kar guzar gai
us par nazar uTha ke main 'nazish' jo ruk gaya
mahsus ho raha hai ki duniya Thahar gai

Ghazal
Kuchh dur sath gardish-e-sham-o-sahar gai
Nazish Partap Gadhi