اردو हिंदी
Kuchh bhi kaho sab apni anaon pe aDe hain | Shaahi Shayari
kuchh bhi kaho sab apni anaon pe aDe hain

Ghazal

Kuchh bhi kaho sab apni anaon pe aDe hain

Asghar Abid

;

kuchh bhi kaho sab apni anaon pe aDe hain
sab log yahan surat-e-asnam khaDe hain

jo par utarta gaya hota gaya kam-tar
hum duri-e-manzil ke tufail aaj baDe hain

hum ko na kaho qane-e-haalat ki hum log
zindani-e-dahliz ke mansab pe khaDe hain

ai wasl-nasibo! hamein muD kar bhi na dekha
hum qufl ke manind masaib pe paDe hain

tariKH-e-zamin baKHt-kusha hone lagi to
khulta gaya hum waqt se be-kar laDe hain

ujlat ke alaw mein kiye faisle 'abid'
ab soch ki barfani khaDaun pe khaDe hain