kuchh aur nazar aate KHud se jo Dare hote
sae mein kahin hote kuchh zaKHm bhare hote
duniya ka jo bas chalta rakh deti kuchal kar hi
phir ye bhi haqiqat hai hum kitna pare hote
lagtin na kisi ko bhi baaten ye buri apni
do-chaar jo hum aaise kuchh aur khare hote
andar se sabhi shayad aawaz ke ghayal hain
aawaz na dete to kyun zaKHm hare hote
ho koi bhi hum sab ka munh band na kar dete
ilzam agar sar pe KHud hi na dhare hote
kuchh dekh ke ji apna hota jo zara bhi KHush
phir hath in aaankhon pe aaise na dhare hote
kuchh jaanne ki dhun hai kya jaanna hai lekin
malum ye hota to KHud se na pare hote
ye 'talKH' kiya kya hai KHud se bhi gae tum to
marna hi kisi par tha tum KHud pe mare hote
Ghazal
Kuchh aur nazar aate KHud se jo Dare hote
Manmohan Talkh