kuchh aur akele hue hum ghar se nikal kar
ye lahr kahan jae samundar se nikal kar
malum tha milna tera mumkin nahin lekin
chaha tha tujhe main ne muqaddar se nikal kar
aalam mein kai aur bhi aalam the so main ne
dekha nahin is markaz o mahwar se nikal kar
ab dekhiye kis shaKHs ka ham-dosh bane wo
jhonke ki tarah mere barabar se nikal kar
KHwahish hai ki KHud ko bhi kabhi dur se dekhun
manzar ka nazara karun manzar se nikal kar
takta raha main us ki mubaraz-e-talbi ko
wo mujh se laDa tha mere lashkar se nikal kar
Ghazal
Kuchh aur akele hue hum ghar se nikal kar
Saud Usmani