اردو हिंदी
Kuchh ajab aan se logon mein raha karte the | Shaahi Shayari
kuchh ajab aan se logon mein raha karte the

Ghazal

Kuchh ajab aan se logon mein raha karte the

Shaz Tamkanat

;

kuchh ajab aan se logon mein raha karte the
hum KHafa ho ke bhi aapas mein mila karte the

itni tahzib-e-rah-o-rasm to baqi thi ki wo
lakh ranjish sahi wada to wafa karte the

us ne puchha tha kai bar magar kya kahte
hum mizajan hi pareshan raha karte the

KHatm tha hum pe mohabbat ka tamasha goya
ruh aur jism ko har roz juda karte the

ek chup-chap lagan si thi tere bare mein
log aa aa ke sunate the suna karte the

teri surat se KHuda se bhi shanasai thi
kaise kaise tere milne ki dua karte the

us ko ham-rah liye aate the meri KHatir
mere gham-KHwar mere haq mein bura karte the

zindagi hum se tere naz uThae na gae
sans lene ki faqat rasm ada karte the

hum baras paDte the 'shaz' apni hi tanhai par
abr ki tarah kisi dar se uTha karte the