اردو हिंदी
Kore kaghaz ki tarah be-nur babon mein raha | Shaahi Shayari
kore kaghaz ki tarah be-nur babon mein raha

Ghazal

Kore kaghaz ki tarah be-nur babon mein raha

Yusuf Jamal

;

kore kaghaz ki tarah be-nur babon mein raha
tirgi ka hashiya ban kar kitabon mein raha

main aziyyat-nak lamhon ke itabon mein raha
dard ka qaidi bana KHana KHarabon mein raha

jis qadar di jism ko maqruz sanson ki zakat
kya bataun jism utna hi azabon mein raha

be-sifat sahra hun kyun sahra-nawardon ne kaha
har qadam par jab ki main andhe sarabon mein raha

waqt ki mahrumiyon ne chhin li meri zaban
warna ek muddat talak main la-jawabon mein raha

DhunDte ho kyun jali tahrir ke asbaq mein
main to kohre ki tarah dhundle nisabon mein raha