koi ye lakh kahe mere banane se mila
har naya rang zamane ko purane se mila
fikr har bar KHamoshi se mili hai mujh ko
aur zamana ye mujhe shor machane se mila
us ki taqdir andheron ne likhi thi shayad
wo ujala jo charaghon ko bujhane se mila
puchhte kya ho mila kaise ye jangal ko tilism
chhanw mein dhup ki rangat ko milane se mila
aur logon se mulaqat kahan mumkin thi
wo to KHud se bhi mila hai to bahane se mila
meri tashkil to kuchh aur hui thi 'danish'
ye naya naqsh mujhe KHud ko miTane se mila
Ghazal
Koi ye lakh kahe mere banane se mila
Madan Mohan Danish