koi us zalim ko samjhata nahin
wo sitam karne se baz aata nahin
dasht-e-gham mein kab mera naqsh-e-qadam
har qadam pe aankh dikhlata nahin
dard-e-furqat se zaban danton mein hai
kya kahun kuchh bhi kaha jata nahin
chashm-e-dil se dekh use tu dekh le
chashm-e-zahir se nazar aata nahin
sabr-e-shauq-e-wasl-e-jaanan kya karun
par laga kar bhi uDa jata nahin
kab KHayal-e-zulf mein har raat ko
dil pe mere sanp lahraata nahin
gul se nisbat kiya tere ruKHsar ko
ye to wo gul hai jo kumhlata nahin
dard-e-furqat se hai ab honTon pe dam
phir bhi zalim ko taras aata nahin
jaan li hai jalwa-e-ruKHsar ne
qabr ki zulmat se ghabraata nahin
husn ki KHuddariyan to dekhiye
be-KHudi mein bhi wo hath aata nahin
wo nahin aate to nadir kya gala
hosh jab do do dopahar aata nahin

Ghazal
Koi us zalim ko samjhata nahin
Nadir Shahjahanpuri