koi shai Dube to dariya mein lahar jage hai
kab azan murgh ke dene se sahar jage hai
kankari mare se pani mein asar jage hai
ek zara KHwahish-e-parwaz se par jage hai
un ko mimbar ki bulandi se tashaffi na hui
jin ki aawaz pe tahrik ka sar jage hai
nind ki kai se bojhal hai har ek aankh magar
sang ke KHauf se shishe ka nagar jage hai
lazzat-e-dard samundar se nahin sip se puchh
jis ki aaghosh mein qatre se guhar jage hai
rang-o-roghan ke badalne se bhala kya hasil
nannhi kilkariyan jage hai to ghar jage hai
phir KHanghalne ko hai kya KHitta-e-na-dida koi
phir kaf-e-pa mein sar-e-shuq-e-safar jage hai
ghar ke pichhwaDe mahakti hui sargoshi se
kitne bite hue lamhon ka khanDar jage hai

Ghazal
Koi shai Dube to dariya mein lahar jage hai
Shamim Anwar