koi shai dil ko bahlati nahin hai
pareshani ki rut jati nahin hai
hamare KHwab chori ho gae hain
hamein raaton ko nind aati nahin hai
koi titli kaman-daron ke Dar se
faza mein pankh phailati nahin hai
har ek surat hamein bhati nahin hai
koi surat hamein bhati nahin hai
jis aazadi ke naghme hain zaban par
wo aazadi nazar aati nahin hai
badan be-harkat-o-be-his paDe hain
lahu ki bund garmati nahin hai
musalsal posh ki chabuk-zani se
meri aashuftagi jati nahin hai
zawal-e-fikr-o-fan ki 'baKHsh' tohmat
jalal-e-harf par aati nahin hai
Ghazal
Koi shai dil ko bahlati nahin hai
Bakhsh Layalpuri