koi sawal na kar aur koi jawab na puchh
tu mujh se ahd-e-guzashta ka ab hisab na puchh
safine kitne hue is mein gharq-e-ab na puchh
tu mere dil ke samundar ka iztirab na puchh
main kab se nind ka mara hua hun aur kab se
ye meri jagti aankhen hain mahw-e-KHwab na puchh
safar mein dhup ki shiddat ne bhi sataya magar
fareb dete rahe kis qadar sarab na puchh
kabhi uruj pe tha KHud pe e'timad mera
ghurub kaise hua hai ye aaftab na puchh
Ghazal
Koi sawal na kar aur koi jawab na puchh
Khushbir Singh Shaad