koi saughat-e-wafa de ke chala jaunga
tujh ko jine ki ada de ke chala jaunga
mere daman mein agar kuchh na rahega baqi
agli naslon ko dua de ke chala jaunga
teri rahon mein mere baad na jaane kya ho
main to naqsh-e-kaf-e-pa de ke chala jaunga
meri aawaz ko tarsega tera rang-mahal
main to ek bar sada de ke chala jaunga
mera mahaul rulata hai mujhe aaj magar
tum ko hansne ki faza de ke chala jaunga
bais-e-amn-o-mohabbat hai agar mera lahu
qatra qatra ba-KHuda de ke chala jaunga
umr bhar buKHl ka ehsas rulaega tumhein
main to sail hun dua de ke chala jaunga
mere ajdad ne saunpi thi jo mujh ko 'razmi'
nasl-e-nau ko wo qaba de ke chala jaunga
Ghazal
Koi saughat-e-wafa de ke chala jaunga
Muzaffar Razmi